Hello everybody how are you. Aaj main apko bataunga ki india me verify paypal account kaise banaye.
Agar aap online earning karte ho.Without Google adsense to wo paisa apne bank a/c me receive karne ke liye paypal a/c ka hona zaroori hai. Or Aaj main apko verify paypal account kaise banate hai. Iski puri jaankari Hindi me dunga.
Or Agar apko koi problem Ho to Mujhe comment kare. Main apko soulution dunga.
Paypal A/c Kya kaam karta hai?
Paypal ek aisa portal hai. Agar apko India se bahar paise send karne ho to Paypal se kar sakte hai. Or agar apko india se alag Other country se Paise Apne bank account me le sakte hai.
Agar apne kuchh paise online Earn kiye hai. To unko apne bank A/c me receive karne ke liye paypal kafi useful or helpful hai.
Paypal account create karne ke liye kya zaroori hai?
1st Paypal a/c banane ke liye sabse zaroori hota hai pan card. Agar apke pass nahi hai to banawa sakte hai. koi issue nahi hai.
Or Agar apke ghar main kisi ka bhi pan card hai to aap uske hi name se paypal a/c create kar sakte ho.
2nd Bank a/c Ajj ki date mai to waise bank a/c sabke pass hai. But Bank a/c bhi usi ka hoga jiske pan card se account open karoge.
Agar apke pass pan card nahi hai. To koi problem nahi Aap isko baad main bhi Add kar sakte hai. iske liye main aage post me bataunga.
Abhi hum padh rahe paypal accoung kaise bananye. me Apko Step by Steo bataunga aap step ko follow kare.
Aap apne browser main paypal ki website open kare.
Paypal account kaise banaye let’s Start.
To Paypal ki website open hogi. Apko Sign up pe click karna hai.
Sign up par clik karne ke bad ek page open hoga jo Image me dikhaya hai.
Ab aap ye step follow kare.
Step 1 Apko Individual Select karke Continue par clcik karna hai.
Step-2 Apko country Select karna hai.
Step:3 Ab aap apna email Address Type kare.
Step:-4 Apna achha sa password type kare. Password mai 1 numeric or 1 symbol ka hona zaroori hai.
Step-:5 Ab fir se continue par click kare.
To ab apke samne ek form open hoga. Apko use fill up karna hai.
Simple hai hard nahi hai. Aassani se fill kar doge. Form mai Apko Apni Details fill karni hai.
But Apko Apni Detail ek dam correct fill karni hai. Koi Galti nahi karni hai.
Form ko fill up karne ke baad Checkbox ko tik kare. Or fir Agree and Create account par click kare.
To apko ek Option show hoga. Debit or credit card Add karne ka jaisa ki image me dikhaya hai.
Agar apke pass debit ya credit card hai to add kar sakte. Paypal me debit card kaise Add kare Aage padhenge.
Abhi hum is step ko skip karte hai.
To aap I’ll Link my Card later par click karte hai. Or fir yes skip button par click kare.
Paypal account me pen card kaise add kare.
Congratulation!
Apka paypal a/c create ho gaya hai. To apko ye msg show hoga.
Ab Apko Apni Email verify karna hai. Email kaise verify kare paypal account mai.
Apne email account me login ho jaye. Fir Inbox me apko payal se Mail aaya hai. Usko Open kare.
Confirm Email par click kare. To Ab apka paypal accont ban chuka hai.
Ab Aage kaya karna hai. ye hum aage padhenge. Bank a/c kaise add karte hai. pan card kaise add karte hai. debit card kaise add kare.
Agar abhi apko koi problem ho to aap mujhe comment kar sakte hai.
Hamara facebook page join kare or humse contact kare.
To abhi humne is post me shikha paypal account kaise banaye. Next post me task ko complete karna shikhenge.
इसके बाद वाला क्या स्टेप्स करना है
Wapka वेबसाइट में अब क्या करना होगा
main samza nahi aap kiske baare janana chahte ho pura detail se batate to achha hota na.
wapka ya paypal apne comment paypal ki post par ki he.
abhi humne is post me shikha paypal account kaise banaye. Next post me task ko complete karna shikhaiye
हो सके हो वीडियो भी बनाइएगा
wo post bhi maine kar di he pan card kaise add karte he is post ko padho
Sir Mai Jab Foreign Country se software buy karta hoon through paypal Checkout Karne par “Return Tom Merchant”
Show hota hai or bapis vahi chekout ke page par aa jata hai
please help….
apko apne paypal account me HDFC BANK, YA ICICI Bank ka debit card link karna hoga.