How To Mix Sub Bass Fl Studio Mein Sub Bass Sound Kaise Banate Hein.

How To Mix Sub Bass Fl Studio Mein Sub Bass Sound Kaise Banate Hein. Beats banaane ke liye sub bass mix karane ke baare mein jaanna bahut zaroori hai. Sub bass RnB aur hip hop tracks ka ek bahut hi important element hai.

Jyadatar sub bass Synth ke andar sine wave ka istemaal karke banaya jaata hai. Sub bass banaane ka ek aur aam tareeka hai, aap 808 sample ka upyog karke bhi yah bana sakte hai.

How To Make Boom Sound

Ek baat jo sach mein sub bass ko laabh pahunchaati hai wah hai compression. Jab aap apna sub bass play karte hai tab aap kabhi kabhi notice karte hai ki aapke kuch notes bahut loud hai jabki kuch notes bahut hi quiet. Aese me aap comoression ka upyog karke saare notes ko theek kar sakte hai. Jisse aap sub bass aur bhi jyada consistent lagega.

EQ Sub Bass : How To Mix Sub Bass Fl Studio

Apne sub bass ko masking se bachaane ke liye aap EQing ka istemaal kar sakte hai. FL studio me ek analyzer ke saath EQ plugin ke jariye parametric EQ 2 ka istemaal kar sakte hai. Analyzer ka upyog karke aap apne sub bass me dominant frequency dekha sakte hai.

Aksar log apni sub bass frequency ko 60HZ se jyada nahi hona dene chahate. Aap 60Hz se upar ki har frequency ko filter karna chahate ho. Par aapko bata de bass frequency isse upar ja sakti hai.
Lower frequency ko 20Hz rakhne se aap lower frequency ko bhi filter kar sakte hai.

Mix Sub Bass Fl Studio

How to mix sub bass

Aap sub bass banate waqt apni choice se bhi High/Low filter pass filter ka use kar sakte hai.

Agar aap deep sub bass chahte hai to frequency ko low pass karein.

Aap in donon chhote se changes ke saath apne sub bass ko kaafi asardaar bana sakte hai.

Agar aap shaandaar beats banana chahate hai to aapko sub bass mix karna seekhna jaruri hai. Achche sound ke liye EQ and Compression technique ka upyog karein.

Fl Studio Semples Pack Free download Here.

Agar apko hamari kisi post me ya kisi pack ko download karne me problem hai. To aap humko comment box me likhkar bata sakte hai. Yaa aap hamara facebook page join karke bhi humse contact kar sakte hai.

5 Comments

  1. Amit Kumar Ram Reply
  2. Dj Nagesh Reply
  3. San Reply

Leave a Reply

%d bloggers like this: